❗️Qayamat ki Nishaniyan
“Qayamat ka Din” yaani wo din hai jab Allah Ta’ala har insaan aur jinn ka hisaab lega – unke a’maal ka pura faisla hogahfhhn. Ye din har makhlooq ke liymgge intehai aham hoga, jahan sirf insaaf hghffoga, aur har shakhs apne kiye ka nahfjmnftija hjhpayega.hghhgfhjh
1.Qur’an mein Qayamat ka Zikar:-
Qur’an-e-Kareem mein Qayamat (قیامت) ka zikar 300 se zyada baar mukhtalif alfaaz aur andaazon mein aaya hai. Allah Ta’ala ne logon ko baar baar is din se daraya hai taake wo apni zindagi sudhaar sakein aur aakhirat ki tayyari karein.
Qur’an me Qayamat ke liye istimaal hone wale alfahhaz:-
hh
1. Yawm al-Qiyamhggah (یوم القیامہ) – Uthne ka din
2. Yawmj ad-Din (یوم الدین) – Hisab ka din
Hj
3. As-Sa’ah (الساعة) – Achanak aanay wali ghadi
4. Yawm al-Fasl (یوم الفصل) – Faislay ka din
5. Yawm al-Hasrah (یوم الحسرة) – Afsos ka din
✔️Ahm ayatain jahan Qayamat ka zikr aaya hai:-
• Surah Al-Zalzalah (99:1–8)
“Jab zameen apne bojh nikal degi, aur insaan kahega: isay kya ho gaya? Us din zameen apne sab haal bayan karegi.”
~ Is ayat me qayamat ki shiddat aur har shakhs ke a’maal ke zahir hone ka zikar hai.
• Surah Al-Hajj (22:1-2)
“Logon! Apne Rubb se daro. Qayamat ka zalzala badi haibat wali cheez hai.”
~ Qayamat ke din ke dar aur us ke asraat ka bayan hai – maa apne bachche ko bhool jaayegi, log mast sa lag rahe honge, lekin wo mast nahi honge – wo dar ke mare behaal honge.
• Surah Al-Qari’ah (101:1–11)
“Qari’ah! Tumhein kya maaloom Qari’ah kya hai? Jis din log pariyon ki tarah udte honge, aur pahad dhunwan roi jaise ho jayenge.”
~ Is surah me Qayamat ke din ke manazir ka tasawwur diya gaya hai – har shakhs ka a’maal tolne ka zikar hai.l
Surah Al-Infitar (82:1–5)
“Jab aasmaan phat jayega, jab sitare bikhar jaayenge, jab qabrain ulat di jayengi – us waqt har shakhs samajh jayega ke usne kya bheja aur kya chhoda.
~ Aakhirat ke hisaab ka intihayi gehra aur dar sunchnay wala scene.
Surah Al-Ghashiyah (88:1–26)
“Kya tum par Ghashiyah (Qayamat) ki khabar aayi hai? Us din kuch chehre zillat mein honge,
🔘mehnat karne wale, thake hue…”
~ Jannat aur Jahannam dono ka zikr – ek taraf ne’matain, doosri taraf azaab.
• Qur’an ke kuch aur maqamat jahan Qayamat ka zikr hai:~
✨Surah Al-Baqarah (2:113, 2:174, 2:281)
✨ Aali-Imran (3:185)
✨Surah An-Nisa (4:87)
✨Surah Ya-Sin (36:51-54)
✨Surah Az-Zumar (39:68-75)
Qur’an hume baar baar Qayamat ke din yaad dilata hai taake hum apni zindagi Allah ke hukm ke mutabiq guzarein. Ye din haq hai, aayega, aur har shakhs us din Allah ke samne khada hoga.
2. Hadith Mein Qayamat Ka Zikar
Hazrat Muhammad ﷺ ne Qayamat ke din ke baare me bohot si ahadees me tafseelan bayan kiya hai — is din ki nishaniyan, haalat, aur tayyari ka zikr karte hue apne ummat ko bar bar tahqiqat aur tayyari ki dawat di hai.
Ahadees Jahan Qayamat Ka Zikr Aaya Hai:
Qayamat ke 5 Asliyat sirf Allah jaanta hai:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Paanch cheezein aisi hain jinka ilm sirf Allah ke paas hai…”
(Usme se ek: Koi nahi jaanta ke Qayamat kab aayegi.)
— Sahih Bukhari, Hadith 4778
Is se sabit hota hai ke Qayamat ki asal tareekh ka ilm sirf Allah ke paas hai.
✨Nabi ﷺ ne farmaya:
“Qayamat us waqt tak nahi aayegi jab tak
Maa ko uska ghulam paida nahi karega
Nange paon log imaaratein banane me mukabla nahi karenge…”
— Sahih Muslim
Ye aakhri waqt hoga jab insaan ek jagah jama kiye jaayenge.
3. QAYAMAT KI NISHANIYAN :~
~ Qur’an o Hadees me Qayamat ki bahut saari alamaat (signs) bayan ki gayi hain chhoti nishaniyan aur badi nishaniyan.
⭐ Qayamat Ki Chhoti Nishaniyan (Minor Signs):~
1. Ilm ka uth jana:-
Ilm wale log kam ho jayenge, aur jahalat badhti jaayegi.
2. Fitne aam ho jana:-
Har jagah fasad, gunah, zulm, jhoot aur dhokha zyada nazar aayega.
3. Gaane aur sangeet ka phail jana:-
Music, dance aur be-hayai aam ho jayegi.
4. Amanat me khayanat:-
Logon par vishwas kam ho jayega, amanat ka lihaz nahi hoga.
5. Maa baap ki nafarmani:-
Bachche maa-baap ki ijjat na karenge, unke saath sakhtee se pesh aayenge.
6. Masjidein khoobsurat, magar namazi kam:-
Masjidein tayyar hongi, lekin namaz ki ahmiyat kam hoti jayegi.
7. Jhoot aur jhoote logon ka izzatdar ban jana:-
Sach bolo to log dushman, jhoot bolo to dost — aisa waqt aayega.
8. Time ki tizi:-
Waqt itna tezi se beetega ki mahino jaise din lagne lagenge.
9. Ghair zimedaar log zimmedariyan hasil karenge:-
Nalaayak log sarkari aur immani maqam par aa jayenge.
10. Zina, sharab aur faahashi ka phail jana:-
Be-hayai ko normal samjha jayega.
11. Daulat ka bhed nahi rahega:-
Ameer aur zyada ameer, ghareeb aur zyada ghareeb hota jayega.
12. Qatl-o-gharat aam ho jayega:-
Log bina wajah qatil karenge, aur qatil ko koi nahi puchega.
🔥 Qayamat Ki Badi Nishaniyan :~
1. Imam Mahdi ka zahoor:-
Ek buzurg leader jo insaaf aur aman qayam karenge.
2. Dajjal ka aana:-
Sabse bada fitna — jhoot, dhokha aur logon ko gumraah karega.
3. Hazrat Isa (A.S) ka aasmani nuzool:-
Hazrat Isa (A.S) Dajjal ko qatl karenge aur insaf qayam hoga.
4. Ya’juj Ma’juj ka nikalna:-
Aise log jo duniya me tabahi macha denge.
5. Aag ka nikalna:-
Hijaz ki taraf se aag niklegi jo logon ko ek jagah hanke gi.
6. Sooraj ka maghrib se taloo hona:-
Jab sooraj west se niklega — tauba ka darwaza band ho jayega.
7. Dhuaan (Dukhan):-
Duniya par ghana dhuaan chha jayega jo sab par asar karega.
8. Teen bade bhukamp:-
Mashriq, maghrib aur jazirat-ul-arab me zabardast zalzale honge.
4.Qayamat ki taraf le jaane wali fitne:~
✔️Nafso ka piche lagna
✔️Duniyadari ka ghalba
✔️Fasad, zulm, jhoot
✔️Deen se doori
✔️Haya ka kam ho jana
✔️Aman ka uthane lagna
4.🌙 Musalman Qayamat ke fitnon se kaise bache?
✨Roz ki namaz pabandi se
✨Astaghfar aksar karna
✨Qur’an ko samajh kar padhna
✨Sunnat par amal
✨Fitnon se door rehna
✨Duniya par bharosa nahi, sirf Allah par yaqeen
5. Qayamat ke Baad Kya Hoga?
Qayamat ka din sirf duniya ka khatma nahi hai…
Us ke baad ek nayi zindagi shuru hoti hai, jahan insaan ko apne har amal ka pura hisaab diya jayega.
Chaliye step-by-step samajhte hain:-
1. Duniya ka Khatma aur Sur phoonka jana:-
Qayamat aayegi, Soor phoonka jayega, saari makhlooq mar jayegi.
Phir doosra Soor phoonka jayega aur sab log dobara zinda kiye jayenge.
2. Hashr ka Maidan:-
Sab insaan, jin, aur makhlooq ek badi zameen par jama kiye jayenge.
Zameen bilkul seedhi hogi
Na pahaad, na darakht
Log nange paon, nange jism, bina maal ke
Magar Allah us din logon ko ek doosre se farq nahi karne dega, sab apne hisaab me hote hain.
3. Amal Nama (Record of Deeds):-
Har insaan ko uska amalanama diya jayega:
Nek logon ko right hand me
Gunahgaar logon ko left hand ya peeth ke peeche
Isme duniya ka har chhota bada amal likha hoga.
4. Hisaab (Accountability):-
Allah har insaan se unke amal ka hisaab lenge.
Kis ne kya bola
Kya kiya
Kisko dukh diya
Kis ki madad ki
Namaz, roza, zakat, halal-haram — sabka hisaab
Jo log tauba karke mare honge, Allah unke gunaahon ko maaf bhi kar sakte hain.
5. Meezan (Aamal ka Tarazu):-
Nek aur bure amal ko tolne ke liye ek tareeqah hoga.
Agar nek amal bhaari hue → Nijaat
Agar gunah bhaari → saza ka imkaan
Allah ki Rehmat bhi ghaleeb ho sakti hai.
6. Pul-Siraat (Bridge over Jahannam):-
Jahannam ke upar ek baarik pul hoga, jisko sabko cross karna padega.
Yeh pul baal se patla, talwar se tez hoga.
Log apne imaan ke mutabiq is par guzrenge:
Kuch log bijli ki tarah
Kuch hawa ki tarah
Kuch dod kar
Kuch raghad-te ghistey
Kuch gir kar Jahannam me
7. Aakhir ka Faisla – Jannat ya Jahannam:-
💫 Jannat (Paradise)
⚡️Jannat me wahi jayenge jo:
⚡️Imaan wale
⚡️Nek amal karne wale
⚡️Allah ki rehmat paane wale
⚡️Jannat me:
⚡️Dard nahi
⚡️Gham nahi
⚡️Maut nahi
⚡️Takleef nahi
⚡️Hamesha ki zindagi
⚡️Hoor, nahr-e-shahad, meethay phal, sukoon, noor
⚡️Sabse badi nemat: Allah ka Deedar
🔥 Jahannam (Hell)
✨Jahannam unke liye jinhone:
✨Kufr kiya
✨Zalim bane
✨Tauba nahi ki
✨Deen ko chhoda
✨Wahan:
✨Aag
✨Tazab
✨Zanjirein
✨Pyaas aur bhooqh
✨Gham
✨Azaab
Kuch log hamesha rehenge, kuch apne gunaah ke hisab se.
8. Sirf Do Jaga — Teesra rasta nahi:-
Aakhir me insaan ya to:~
Jannat me hamesha ki zindagi
Jahannam me hamesha ya muddat ke hisab se
Iske baad na maut hogi, na duniya, na waqt — bas hamesha ki zindagi.
🌷 Ek Khoobsurat Islamic Line:-
“Duniya imtihaan hai, Qayamat faisla hai, aur Jannat ya Jahannam anjaam — kamyabi unhi ki hai jo Allah ko razi kar le.”
Qayamat ke bare me 10 aam sawal
1. Qayamat kab aayegi?
Sirf Allah jaanta hai.
2. Kya Qayamat ki nishaniyan poori ho rahi hain?
Chhoti nishaniyan aksar poori ho chuki hain, badi abhi baqi hain.
3. Dajjal ka fitna kaisa hoga?
Dajjal jhoote mo’jizat dikhakar logon ko gumraah karega.
4. Hazrat Isa (A.S) kahan utarenge?
Damascus (Shaam) ki masjid ke minar par.
5. Imam Mahdi ka role kya hoga?
Zulm khatam karna, insaaf qayam karna.
6. Ya’juj Ma’juj ka fitna kaisa hoga?
Bahut tabahi aur fasaad karenge.
7. Sooraj ka maghrib se nikalna kya matlab hai?
Tauba ka darwaza band ho jayega.
8. Qayamat se pehle kaisa waqt hoga?
Zulm, fitna, fasad, Jhoot, zina, sharab aam.
9. Hisaab kaise hoga?
Har amal likha hua hoga, Allah ke saamne jawab dena hoga.
10. Kaun safe hoga?
Jo dunya me imaan aur nek amal lekar aaya.
🌟 ek haseen Islamic line
“Duniya ek safar hai, aur Qayamat uski manzil — kamyabi unhi ki hogi jo Allah se wafa nibha kar jayenge.
Note:~
In sab nishaniyon ka aana yeh sabit karta hai ke waqt bohot kam reh gaya hai. Ye waqt hai tauba, ibadat, aur apne a’maal durust karne ka.
✨ Dua:
Ya Allah! Hume Qayamat ke din ki ruswai se bacha, hume imaan aur nek a’maal ke sath zindagi guzarne ki toufiq de, aur hume Jannat al-Firdaus naseeb farma