Note:- Hai Islam main Love marriage karna jaiz hai, agar woh sharai tareeqe se ki jaye. Islam me nikaah sirf ek samaji bandhan nahi, balki ek ibadat bhi hai. Agar ek mard aur aurat ek dusre ko pasand karte hain (halaal tareeqe se), to unka nikah kar lena jaiz hai – yeh Allah ki raza ka kaam hai.
~ Qur’an me Allah kya kehte hain:
Surah An-Nur (24:32):
- Aur tum mein se jo log ghareeb hain unka nikah kar do. Allah unhein apne fazl se ameer kar dega.
- Is ayat se pata chalta hai ke Allah nikaah ko farogh dene ka hukum dete hain, aur paise se aur gareebi se rukawat nahi hone chahiye.
—————————————————————————————————————————————
Surah Ar-Rum (30:21):
- Aur Uski nishaniyon mein se hai ke Usne tumhare liye tum mein se hi jodiyan banayi, taa-ke tum unse sukoon pao. Aur Usne tumhare darmiyan muhabbat aur rehmat paida ki.
POV:- Allah ne khud hi mohabbat aur rehmat ko nikaah ka maqsad bataya hai. Iska matlab hai: Mohabbat Allah ki taraf se hoti hai, aur agar yeh halaal rishte (nikah) mein ho, to yeh ek barkat hai, gunaah nahi Jaiz hai:
—————————————————————————————————————————————-
~ Nabi ﷺ ka Farman hai :- Aisi koi cheez nahi dekhi gayi jo do mohabbat karne walon ke liye nikah se behtar ho.
Sunan Ibn Majah, Hadith 1847 – Hasan:- Is hadith ka matlab ye hai ke agar ladka-ladki ek dusre se mohabbat karte hain, to unke liye sabse behtareen tareeqa nikah hai, taake mohabbat halal ho jaye.our zina se door rhe.
——————————————————————————————————————————————
~ Nabi ﷺ ka Amal:
Hazrat Khadijah (RA) se shadi:-
Nabi ﷺ ne apni pehli biwi Hazrat Khadijah (RA) se mohabbat ke saath nikah kiya. Hazrat Khadijah ne khud rishta bheja, aur unki shadi izzat aur mohabbat par mabni (Rekhta) thi.
Shadi mein asani:- Nabi ﷺ ne hamesha shadi ko asaan banane ki talqeen ki, aur khwahish rakhne walon ko roka nahi — agar dono achhe deen wale hoon.
Love Marriage Islam mein kab Jaiz hai:
- Dono ki raza-mandi ho (Ladke aur ladki dono ki marzi se ho, zabardasti nahi).
- Walidain (maa baap) ka mashwara lena behtar hota hai, lekin agar woh bina kisi sharai wajah ke mana kar rahe hain to ladki aur ladka apni marzi se nikaah kar sakte hain.
- Ladka-ladki dono baaligh ho aur aqalmand ho.
- Sharai tareeqe se nikaah ho – Gawah mehr, aur ijab-o-qabool ke sath.
- Koi haram rishte ya gunah wala talluq na ho.
Haram kab hoti hai:
- Agar nikaah se pehle haram talluq ho (zina ya na maharam se talluq rakhna)
- Agar ladki ya ladka kisi aur ke nikaah mein ho.
- Agar sirf jismani ya ghalat niyat se ki gayi ho. To ye haram hai
- Qur’an mein Zina ke baare mein kya likha hai?
- “Aur zina ke qareeb bhi mat jao. Ye bohot hi ganda kaam hai, aur buri raah hai.”
- Surah Al-Isra 17:32:- Is ayat mein Allah ne sirf zina karne se nahi, “uske qareeb jaane se bhi mana kiya” — jaise chhupke milna, chhuna, ya fahash baatein karna.
Islam mein Zina ki Saza kya hai?
- Agar koi shadi-shuda ho aur zina kare: Hadith ke mutabiq, uski saza rajm (sangsaari – pathar maar ke saza) hai.
- Agar koi ghair-shadi-shuda ho (single) aur zina kare: Uski saza 100 koode hai (Zani aur zaniyah).
Qur’an ka Nazariya:
- Qur’an me Surah An-Nur (24:32) me farmaya gaya:
- “Aur apne beemaradon ka nikaah karo”
Nabi Muhammad ﷺ ne farmaya:
- “Nikaah meri sunnat hai, aur jo meri sunnat par nahi chalta, woh mujhse nahi.” (Bukhari, Muslim)
- Love marriage jaiz hai agar Islamic tareeqe se ho aur haram kaam na ho Mohabbat ka paak aur sharafat par mabni hona Mohabbat ka paak aur sharafat par mabni hona Mohabbat ka paak aur sharafat par mabni hona Mohabbat ka paak aur sharafat par mabni honaParents ka izzat karna zaroori hai, Nabi Muhammad ﷺ ne farmaya:
“Nikaah meri sunnat hai, aur jo meri sunnat par nahi chalta, woh mujhse nahi.” (Bukhari, Muslim)
Love marriage jaiz hai agar Islamic tareeqe se ho aur haram kaam na ho.
maa Baap ka izzat karna zaroori hai, lekin agar unka mana karna na-insafi par ho (jaise jaat, paisa, status), to
rrIslam ladki ko khud apna nikaah karne ka haq deta hai.
- Humare Nabi ﷺ ne Love Marriage ke baare mein kya farmaya?
Islam mein nikah ek paak aur muqaddas rishta hai. Hamare Nabi Muhammad ﷺ ne shaadi ko ek ibadat qarar diya hai. Jab kisi ladke aur ladki ko ek dusre se mohabbat ho jaati hai, to Islam isay mana nahi karta — lekin is mohabbat ko halaal tareeqe se poora karna zaroori hai, yani nikah ke zariye.
Rasulullah ﷺ ne farmaya:
“Jab tumhe kisi ladki mein khubiyan nazar aayein (aur tum usse pasand karo), to agar uska akhlaq aur deen tumhe pasand aaye, to usse nikah karo.” (Tirmidhi)
sahabi Jabir ibn Abdullah (RA) ne jab ek ladki se nikah kiya, to Nabi ﷺ ne poocha:
“Kya tumne usse dekha tha?”
Jabir (RA) ne kaha: “Haan.”
Nabi ﷺ ne is par razamandi ka izhar kiya. (Muslim)
Yani agar kisi ladke ya ladki ko kisi se mohabbat ho jaaye, to wo apne walidain ki raza mandi ke sath us se nikah kar sakte hain. in Chhupke haram rishte rakhna Islam mein mana hai, mohabbat agar shari tareeqe se ho aur nikah mein badli jaaye to wo jaayaz hai.
Islam hamesha paak mohabbat aur halaal rishte ko taqweeyat deta
- Islam mein Love Marriage ki Shartein
Islam mein love marriage jaayaz hai, lekin kuch shartein aur usool hain jin ka khayal rakhna zaroori hai. Mohabbat ko agar halaal tareeqe se nikah mein badal diya jaye to Islam isay mana nahi karta. Nabi ﷺ ki talimat ke mutabiq, har rishta shari’at ke daire mein hona chahiye.
1.mohbbat ka paak aur sharafat par mabin hona
Love marriage us surat mein jaayaz hai jab dono taraf ke jazbaat paak, imaandari aur izzat par mabni hon. Agar koi rishta najaayaz (haram) taluqaat, chhupke mulaqaton ya zina ki taraf le jaye to Islam mein uski sakht manaai hai. 2. Nikah ka irada aur shari tareeqa
Mohabbat ke baad agar dono shaadi karna chahte hain to unhein shari tareeqe se nikah karna hoga. Chhupke nikah, bina walidain ki raza mandi ke, ya bina gawahon ke nikah Islam mein makrooh ya baatil ho sakta hai.
3. Wali (wali ka hona zaroori hai – khaaskar larki ke liye)
Nabi ﷺ ne farmaya:
“Koi nikah wali ke baghair jaayaz nahi.” (Abu Dawood, Tirmidhi)
Is hadees se maloom hota hai ke larki ke walid ya wali (jaise bhai, chacha, dada) ki raza mandi lena zaroori hai. Agar wali na ho, to qazi ya Islamic authority ka faisla liya ja sakta hai.
4. Deen aur akhlaq ko ahmiyat
Nabi ﷺ ne farmaya:
“Agar koi shakhs tumhare paas rishta bheje aur uska deen aur akhlaq tumhein pasand ho, to usse nikah kar lo.” (Tirmidhi)
5. Zabardasti na ho
- Islam mein nikah dono ki raza mandi ke bagair jaayaz nahi. Har larki ko apni pasand aur na-pasand ka haq hai.
Pov:- Islam mohabbat ke khilaf nahi, balki har rishtay ko paak aur shari tareeqe se anjaam dene ka hukum deta hai. Love marriage jaayaz hai agar usme shariat ki sab shartein poori ki jaayein.
Thanks for reading!
Regards 🤗