“Agar aapko lagta hai ke aapke gunah bahut zyada hain, to ye article aapki zindagi badal sakta hai.”
Is duniya me har insan se ghalti hoti hai. Koi bhi insan perfect nahi hota.
Kabhi na kabhi hum sab se gunah ho jata hai, lekin Allah ki rehmat itni badi hai ke agar banda sachche dil se tauba kare, to Allah uske gunah maaf farma deta hai.
Bohot log ye sochte hain:-
• Kya tauba karne ke baad bhi gunah rehta hai?
• Agar baar baar gunah ho jaye to kya Allah maaf karega?
Dua Kab Qabool Hoti Hai? Qur’an Aur Hadith Ke Mutabiq (Complete Guide)”•
Qur’an aur Hadith me in sab sawalon ka jawab hai.
1. Qur’an me Tauba ka zikr :~
1. Allah sab gunah maaf kar sakta hai :-
Surah Az-Zumar 39:53
قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِنْ رَحْمَةِ اللَّهِ
Tarjuma :~
Ae mere bandon jinhone apni jaanon par zyadati ki, Allah ki rehmat se mayoos mat ho.
Beshak Allah sab gunah maaf kar deta hai.
Ye aayat har gunahgaar ke liye umeed ka paighaam hai.
2. Sachchi tauba Allah ko pasand hai :-
Surah Al-Baqarah 2:222
إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ التَّوَّابِينَ
Tarjuma :~
Beshak Allah tauba karne walon se mohabbat karta hai.
Allah sirf maaf hi nahi karta, balki tauba karne wale ko pasand bhi karta hai.
3. Gunah nekion me badal sakte hain :-
Jo tauba kare, iman laaye aur nek amal kare, Allah unki buraiyon ko nekion me badal deta hai.
Surah Al-Furqan 25:70
Ye Allah ki sabse badi rehmat me se ek hai.
2. Hadith me Tauba ki Fazilat :~
1. Allah tauba se khush hota hai :-
Reference :- Sahih Muslim
Hadith :~
Allah apne bande ki tauba se us musafir se bhi zyada khush hota hai jise apna khoya hua samaan wapas mil jaye.
2. Har insan se gunah hota hai :~
Reference :- Jami` at-Tirmidhi
Hadith :~
Har insan gunahgaar hai, aur behtareen gunahgaar wo hain jo tauba karte hain.
3. Sachi tauba gunah mita deti hai :~
Reference :- Sunan Ibn Majah
Hadith :~
Jo shakhs sachche dil se tauba karta hai, wo aisa ho jata hai jaise usne gunah kiya hi na ho.
3. Allah Kin Gunahon Ko Maaf
Karta Hai? :~
Agar hum sachche dil se tauba kare, to Allah har tarah ke gunah maaf kar deta hai.
Qur’an me Allah ne farmaya hai :-
Surah Az-Zumar 39:53
إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا
Tarjuma :~
Beshak Allah tamam gunah maaf kar deta hai.
Lekin tauba sachchi aur dil se honi chahiye.
1. Chhote Aur Bade Gunah :-
Chahe gunah chhota ho ya bada, Allah dono maaf kar deta hai.
Agar banda sharminda ho kar Allah se maafi maange, to Allah uski tauba zarura qabool farma deta hai
2. Baar Baar Hone Wale Gunah :-
Agar kisi insan se ek hi gunah baar baar ho jaye, lekin wo har baar sachche dil se tauba kare, to Allah phir bhi maaf kar sakta hai.
Allah apne bandon ki tauba ko pasand karta hai.
3. Dil Se Ki Gayi Tauba Wale Gunah :-
Jo banda ro kar, regret ke saath aur dil se Allah ke paas laut aaye, Allah uske gunah maaf farma deta hai.
Sirf zubaan se nahi, dil se maafi maangna zaroori hai.
4. Wo Gunah Jinke Baad Nek Amal Kiye Jayein :-
Qur’an me aata hai ke jo log tauba karein, iman laayein aur nek amal karein, Allah unki buraiyon ko bhi nekion me badal deta hai.
Ye Allah ki sabse badi rehmat hai 💖
4. Kya Tauba Karne Se Gunah Maaf Ho
Jata Hai? :~
Haan zarura 🌷
Agar hum dil se sachchi tauba kare, to Allah zaroor gunah maaf farma deta hai.
Chahe humare gunah chhota ho ya bade, Allah ki rehmat usse bhi badi hai.
Lekin tauba sirf zubaan se “Astaghfirullah” keh dene ka naam nahi.
Tauba ke kuch zaroori conditions hoti hain.
1. Sachchi Tauba Se Gunah Mita Diya Jata Hai :-
Hadith ka mafhoom hai ke –
jo banda dil se tauba karta hai, wo aisa ho jata hai jaise usne gunah kiya hi na ho.
Matlab :~
Agar tauba real ho, to gunah saare maaf ho jate hai.
2. Tauba Ke Baad Nek Amal Zaroori Hain :-
Sirf tauba kafi nahi, balki uske baad achhe kaam namaz, nek amal karna bhi zaroori hai.
Qur’an ke mutabiq :~
Allah buraiyon ko nekion me bhi badal deta hai.🥺
jab banda tauba + nek amal kare
3. Tauba Har Waqt Qabool Hoti Hai :-
Jab tak banda zinda hai aur maut ka waqt nahi aaya, tab tak tauba ka darwaza khula hai.
Isliye :-
Hume tauba me kabhi bhi deir nhi samajhna chahiye — abhi bhi tauba ki ja sakti hai.
Haan, tauba se gunah maaf ho jata hai — bas dil sachcha hona chahiye.
5. Tauba Karne Ka Sahi Tarika :~
1. Gunah par sharmindagi hona :-
Sabse pehle dil me regret hona chahiye ke humne ghalat kaam kiya.
2. Gunah turant chhod dena :-
Agar banda tauba kare aur saath hi gunah continue rakhe, to tauba kamzor ho jati hai.
3. Dobara gunah na karne ka irada :-
Humare me pakka irada hona chahiye ke dobara us gunah ki taraf nahi jayenge.
4. Allah se maafi maangna :-
Dil se ro kar Allah se maafi maango.
Chhoti Dua :~
أستغفر الله وأتوب إليه
Tarjuma :~
Main Allah se maafi maangta hoon aur uski taraf ruju karta hoon.
5. Agar kisi ka haq maara ho to wapas karo:-
Agar kisi insan ka dil dukhaya ho ya haq maara ho, to usse maafi maangna bhi zaroori hai.
5. Baar Baar Gunah Ho To Kya Kare?
Dekho insan galtiyo ka putla hai, hum se Bar Bar gunah hote hai.
Par hume tauba karne me dair nhi karna chahiye.
Mujhese roz gunha ho jata hai,lekin main usi waqt Allah se tauba kar leti hu
Bohot log sochte hain:-
Main baar baar wahi gunah karta hoon, kya meri tauba qabool hogi?
Jawab :- Haan
Jab tak banda sachche dil se tauba karta rahe, Allah maaf karta rehta hai.
Shaitan chahta hai ke insan mayoos ho jaye.
Lekin Allah ne hume kabhi umeed chhodne ko nahi kaha.
6. Tauba Qabool Hone Ki Nishaniyan :~
Ye to Allah hi behtar janta hai, lekin kuch aisi nishaniyan hoti hain jo dil ko umeed deti hain ke Allah ne hume apni taraf bula liya hai ❤️
1. Dil Ko Sukoon Milna :~
Pehle jo bechaini aur guilt feel hota tha, tauba ke baad dil halka halka lagne lagta hai.
Mujhe lagta hai Allah jab banda ko maaf karta hai na, to uske dil me ajeeb sa sukoon daal deta hai.
2. Gunah Se Nafrat Hone Lagna :~
Jo gunah pehle normal lagta tha, tauba ke baad wahi cheez dil ko buri lagne lagti hai.
Dil khud kehne lagta hai
“Ye kaam dobara nahi karna.”
Ye bhi achi nishani hoti hai.
3. Allah Ke Qareeb Hone Ka Feel Hona :~
Tauba ke baad namaz, dua aur Qur’an ki taraf dil zyada jaane lagta hai.
Kabhi kabhi bas Allah se baat karne ka dil karta hai.
Main roz Allah se apni dil ki baat karti hu.
Mere liye feeling bohot special hoti hai ❤️
4. Nek Amal Karne Ka Dil Karna :~
Agar tauba ke baad insan achhe kaam karne lage
jaise ki :–
namaz, istighfar, kisi ki help karna
to ye bhi tauba qabool hone ki umeed hoti hai.
Kyuki Allah jab hidayat deta hai, to banda dheere dheere badalne lagta hai
Ye sab achi nishaniyan hoti hain.🥰
7. Tauba Qabool Na Hone Ki Wajah :~
• Sirf zubaan se tauba karna
• Gunah ko normal samajhna
• Dil me yaqeen na hona
• Tauba ke baad bhi jaan bujh kar gunah
Agar banda sirf zubaan se tauba kare aur dil se na ho, to tauba kamzor ho sakti hai
Tauba Islam ki sabse khoobsurat rehmat me se ek hai.
Agar humse gunah ho jaye, to hume sharminda hokar Allah ki taraf lautna chahiye.
Allah maaf karne wala hai aur apne bandon se mohabbat karta hai.
Bas zarurat hai:-
Sachche dil ki
Sabr ki
Aur Allah par yaqeen ki
🌷 Aap ke liye Ek Pyari Baat :~
☆ Allah ki Rehmat Bahut Badi Hai
Kabhi bhi apne gunahon ki wajah se mayoos mat ho.
☆ Allah humari har baat sunta hai.
Agar duniya me sab log maaf na karein, tab bhi Allah ki rehmat ke darwaze band nahi hote.
☆ Bas ek sachchi tauba aur aansu Allah ko pasand hain.
☆ Kabhi kabhi insan gunah ki wajah se toot jata hai.
Lekin yaad rakho:-
☆ Jo banda ro kar Allah ke paas laut aata hai, Allah apne bande ko mayoos nahi karta
Ya Allah, hum sab ki tauba qabool farma aur hume hidayat de.
Aameen.