Dua Kab Qabool Hoti Hai? Qur’an Aur Hadith Ke Mutabiq (Complete Guide)”

Dua Kab Qabool Hoti Hai Qur’an  Aur Hadith Ke Mutabiq

Islam me dua ek aisi ibadat hai jo seedha banda aur Allah ke darmiyan connection banati hai.

Har banday apni zaroorat, takleef aur khushi me Allah se dua karta hai.

Qur’an Aur Hadith me dua ki ahmiyat aur uski qubooliyat ke bare me bohot wazeh bayan milta hai.

Dua ek aisi ibadat hai jo hume  seedha Allah se jodti hai.

Har banday chahta hai ke uski dua qabool ho, lekin aksar log ye sochte hain ke

“meri dua qabool kyun nahi ho rahi?”

  1. Qur’an me duaa ka zikr :~

Qur’an me duaa ka zikr kai jagah aata hai. Yahan kuch important aayatein aur unka tarjuma (translation) simple andaaz me de raha hu:

 1. Surah Al-Baqarah 2:186 :-

وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِي عَنِّي فَإِنِّي قَرِيبٌ ۖ أُجِيبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ إِذَا دَعَانِ

Tarjuma:~

Jab mere banday tum se mere baare me poochein, to keh do main qareeb hoon.

Main dua karne wale ki dua qabool karta hoon jab wo mujhe pukarta hai.

Ye sabse powerful aayat hai jo batati hai ke Allah har dua sunta hai.

Ayatul Kursi ki Fazilat aur Fayde | Powerful Wazifa for Hifazat, Barkat & Sukoon

2. Surah Ghafir 40:60 :-

وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ

Tarjuma:~

Aur tumhare Rab ne farmaya:~

Mujhse dua karo, main tumhari dua qabool karunga.

Yahan Allah seedha hukum de rahe hain dua karne ka.

 3. Surah Al-A’raf 7:55 :-

ادْعُوا رَبَّكُمْ تَضَرُّعًا وَخُفْيَةً

Tarjuma:~

Apne Rab ko gidhgida kar aur chupke chupke pukaro.

Isme dua ka tareeqa bataya gaya hai ikhlaas aur narmi se

 4. Surah Al-Anbiya 21:90 :-

إِنَّهُمْ كَانُوا يُسَارِعُونَ فِي الْخَيْرَاتِ وَيَدْعُونَنَا رَغَبًا وَرَهَبًا

Tarjuma:~

Wo log nek kaamon me jaldi karte the aur hume umeed aur darr ke saath pukarte the.

Yeh batata hai ke dua umeed aur khauf ke balance ke sath honi chahiye.

5. Surah Al-Isra 17:110 :-

ادْعُوا اللَّهَ أَوِ ادْعُوا الرَّحْمَٰنَ

Tarjuma:~

Aap Allah keh kar pukaro ya Rehman keh kar, dono naam usi ke hain.

Hum Allah ko kisi bhi ache naam se pukar sakte hain

❤️ Achi Baat zaroor padhein :~

• Allah qareeb hai aur dua sunta hai

• Dua karna ibadat hai

• Dua me ikhlaas, sabr, aur yakeen zaroori hai

• Har dua ya to qabool hoti hai ya uska behtar badal milta hai

2. Hadith me duaa zikr :~

Hadith me duaa ki bohot ahmiyat batayi gayi hai.

1. Duaa hi Ibadat hai :-

Reference:- Jami` at-Tirmidhi

الدُّعَاءُ هُوَ الْعِبَادَةُ

Tarjuma:~  Dua hi ibadat hai.

Allah se mangna khud ek ibadat hai, sirf zarurat ka waqt nahi.

 2. Allah Dua Sunta Hai :-

Reference:-  Sahih Muslim

“Koi banda Allah se dua karta hai to Allah usay teen cheezon me se ek deta hai:~

• Uski dua foran qabool karta hai

• Ya uske liye akhirat me behtar cheez rakh deta hai

•  Ya kisi musibat ko door kar deta hai

Is se pata chalta hai ki humari dua kabhi waste nahi jati.

 3. Allah Sharmata Hai Dua Lautane se :-

Reference:-  Sunan Abu Dawood

Hadith:~

Jab banda apne haath utha kar Allah se dua karta hai, to Allah haya karta hai” aata (Sunan Abu Dawood), ke use khaali haath wapas kare.

Hume Allah zaroor kuch na kuch ata karta hai.

 4. Qareeb hone wali Dua :-

Reference:-  Sahih al-Bukhari

Hadith:~

Allah raat ke aakhri hisse me aasman-e-duniya par aata hai aur farmata hai:-

‘Kaun hai jo mujhse dua kare taake main uski dua qabool karun?’”

Yeh Tahajjud ka best waqt batata hai dua ke liye.

 5. Jaldi ka Nuksaan :-

Reference:-  Sahih Muslim

Hadith:~

Banda ki dua qabool hoti rehti hai jab tak wo jaldi na kare aur na kahe ke maine dua ki par qabool nahi hui.

Sabr bohot zaroori hai dua me.

☆ Jarur baat aap sab ke liye:-

Dua ibadat ka hissa hai

Har dua ka result milta hai chahe turant na dikhe

Allah kabhi bhi khali haath nahi lautata

Best waqt:-

raat ka aakhri hissa (Tahajjud)

3. Duaa qabuliyat ka sabse Acha hissa :~

 1. Tahajjud ke waqt Dua :-

Raat ka aakhri hissa yani Tahajjud ka waqt sabse khaas hota hai.

Is waqt Allah apne bandon ki duaein sunta hai.

Hadith ka mafhoom :~

Allah raat ke aakhri hisse me sabse neeche aasman par aata hai aur kehta hai: hai koi maangne wala?

Isliye:~

Raat me uth kar 2 rakat namaz padho

Dil se dua karo

2. Roza rakhte waqt Dua :-

Roza sirf bhook pyaas ka naam nahi, balki sabr aur ibadat ka mahina hai.

Roza daar ki dua iftar ke waqt qabool hoti

Iftar se pehle 5–10 min sirf dua ke liye rakho

Dil se apni baat Allah ko batao

 3. Safar ke dauran Dua :-

Safar me hum Allah ke zyada kareeb hota hai.

Is waqt ki gai dua qabool hoti hai

Musafir ki dua qabool hoti hai” (Tirmidhi / Abu Dawood)

4. Jab dil toot jaye :-

Takleef aur majboori ke waqt dua zyada ikhlaas se hoti hai, isliye zyada qabooliyat ki umeed hoti hai

Kabhi kabhi Allah imtihaan leta hai aur hum tut jate hai.

Aur wahi waqt hota hai jab dua sabse zyada powerful hoti hai

Yaad rakho:-  Allah humare dil ki awaaz ko sabse zyada samajhta hai

4.Dua qabool na hone ki wajah :~

Dua ka qabool na hona aksar Allah ki taraf se “reject” hona nahi hota, balki usme hikmat hoti hai.

Main kabhi Na umeed nhi hoti , roz Allah se achi umeed rakhti hun.

Phir bhi kuch aisi wajahen hoti hain jo dua ki qabooliyat me rukawat ban sakti hain:

Agar aap ki dua qabool nahi ho rahi, to ye wajah ho sakti hain:~

1. Dil ka ghaafil hona

Agar banda sirf zabaan se dua kare aur dil present na ho, to asar kam hota hai.

Allah humare dil ki haalat dekhta hai.

2. Haraam kamai ya haraam khana :-

Hadith me aata hai ke jo insan haraam khata hai, uski dua qabool nahi hoti.

Isliye har chiz Halal honi chahiye.

3.lagataar gunah karna :-

Bina tauba ke lagataar gunah karna bhi dua ki qabooliyat rok sakta hai.

4. Jaldi karna ya sabr na karna :-

Hadith me hai ke banda kehta hai :~

“maine dua ki par qabool nahi hui”

aur phir chhod deta hai ye bhi rukawat hai.

5. Dil me shak hona :-

Agar yaqeen hi na ho ke Allah qabool karega, to dua kamzor ho jati hai.

Humesha Allah par pura yakeen chaiye.

6. Farz ibadat me kami :-

Namaz, roza jaisi farz ibadat ko ignore karke sirf dua karna.

ye bhi pura asar dalta hai.

7. Rishte todna ya zulm karna :-

Zulm, kisi ka haq maarna, ya rishte todna bhi dua ki qabooliyat me rukawat banta hai.

Aap ke liye Important baat : ~

• Kabhi kabhi dua is liye qabool nahi hoti, kyunki Allah us se behtar cheez dena chahta hai

• Ya kisi musibat ko taal deta hai

• Ya uska ajjar aakhirat ke liye rakh leta hai

Is liye kabhi bhi ye na socho ke dua waste gayi.

har dua ka result hota hai, bas tareeqa alag hota

5. Dua qabool karwane ke 5 asaan

tareeqe :-

1. Dil se yaqeen ke saath dua karo :-

Sirf zabaan se nahi, poore yaqeen ke saath maango ke Allah zaroor sun raha hai.

Hadith:~

Allah se qabooliyat ka yaqeen rakh kar dua karo.

2. Dua se pehle aur baad me

Durood Shareef :-

Start aur end me donu waqt Durood padhna dua ko strong bana deta hai.

Jaise ki :~

Allahumma salli ala Muhammad

3. Achi timing choose karo :-

Kuch waqt aise hote hain jab dua zyada qabool hoti hai.

☆ Tahajjud (raat ka aakhri hissa)

☆ Azaan aur Iqamat ke darmiyan

☆ Jumu’ah ke din last waqt

4. Halaal rizq aur paak zindagi :-

Koshish karo ke kamai, khana, aur zindagi halaal tareeqa se ho.

Ye dua ki qabooliyat ka strong banati hai.

5. Sabr + repeat / bar bar dua karna :-

Ek baar maang ke chhod dena nahi.

lagataar maango, Allah bar bar sunna pasand karta hai.

Rote hue, tanha me, Allah se baat karo, Is waqt Dua jaldi asar karti hai.

Meri ek baat aap ke liye :~

Kabhi kabhi dua turant qabool nahi

hoti, duaa ka waqt Tay hota hai.

Isliye humesha ache waqt or sabr ka Sara lena chaiye

☆ Allah 3 tarah se jawab deta hai:~

Jo manga wo de deta hai

Ya usse better deta hai

Ya kisi musibat ko hata deta hai

Dua ek taqat hai jo har mushkil ko asaan bana sakti hai.

Bas zarurat hai sabr, yaqeen aur sachche dil ki.

Aaj se hi apni duaon me sabr lao

Aur Allah par bharosa

6. powerful dua hai jo tum daily padh

sakte ho :~

Dua :-

اللّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ وَرَحْمَتِكَ، فَإِنَّهُ لَا يَمْلِكُهَا إِلَّا أَنْتَ

Tarjuma :-

Ya Allah, main tujhse tera fazl aur teri rehmat maangti hoon, kyunki ye sirf tere hi paas hai.

Kaise padhe:~

• Roz 3 ya 11 baar pdhe le

• Namaz ke baad ya sone se pehle

• Dil se apni duaa bhi sath me bolo

Ya Allah, jo mere liye behtar ho wo ata farma, aur mere dil ko sukoon de. 🌷

Leave a Comment